pahle hum mein the aur ab hum se juda rahte hain
aap kahe ko gharibon se KHafa rahte hain
Muztar Khairabadi
paDa hun is tarah us dar pe 'muztar'
koi dekhe to jaane mar Dala
Muztar Khairabadi
paD gae zulfon ke phande aur bhi
ab to ye uljhan hai chande aur bhi
Muztar Khairabadi
nigahon mein phirti hai aaThon-pahar
qayamat bhi zalim ka qad ho gai
Muztar Khairabadi
nigah-e-yar mil jati to hum shagird ho jate
zara ye sikh lete dil ke le lene ka Dhab kya hai
Muztar Khairabadi
nichhawar but-kade par dil karun kaba to koson hai
kahan le jaun itni dur qurbani mohabbat ki
Muztar Khairabadi
nazar ke samne kaba bhi hai kalisa bhi
yahi to waqt hai taqdir aazmane ka
Muztar Khairabadi
meri arman bhari aankh ki tasir hai ye
jis ko main pyar se dekhunga wahi tu hoga
Muztar Khairabadi
meri hasti se to achchhi hain hawaen yarab
ki jo aazad phira karti hain maidanon mein
Muztar Khairabadi