ai buto ranj ke sathi ho na aaram ke tum
kaam hi jab nahin aate ho to kis kaam ke tum
Muztar Khairabadi
aaina dekh kar ghurur fuzul
baat wo kar jo dusra na kare
Muztar Khairabadi
agar taqdir sidhi hai to KHud ho jaoge sidhe
KHafa baiThe raho tum ko manane kaun aata hai
Muztar Khairabadi
adu ko chhoD do phir jaan bhi mango to hazir hai
tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta
Muztar Khairabadi
ab kaun phire ku-e-but-e-dushman-e-din se
allah ke ghar kyun na chale jaen yahin se
Muztar Khairabadi
aashiqon ki ruh ko talim-e-wahdat ke liye
jis jagah allah rahta hai wahan rahna paDa
Muztar Khairabadi
aap se mujh ko mohabbat jo nahin hai na sahi
aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhi to kya
Muztar Khairabadi
aah-e-rasa KHuda ke liye dekh-bhaal ke
un ka bhi ghar mila hua dushman ke ghar se hai
Muztar Khairabadi
aao to mere aaina-e-dil ke samne
aisa hasin dikhaun ki aisa na ho kahin
Muztar Khairabadi