waqt-e-aKHir qaza se bigDegi
aap us waqt mein karam na karen
Muztar Khairabadi
waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
Muztar Khairabadi
waqt aaram ka nahin milta
kaam bhi kaam ka nahin milta
Muztar Khairabadi
Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana
bhare ghar ko unhon ne ghar na jaana
Muztar Khairabadi
tere mu-e-mizha khaTakte hain
dil ke chhaalon mein nok-e-KHar kahan
Muztar Khairabadi
teri rahmat ka nam sun sun kar
mubtala ho gaya gunahon mein
Muztar Khairabadi
teri uljhi hui baaton se mera dil uljha
tere bikhre hue baalon ne pareshan kiya
Muztar Khairabadi
tere ghar aaen to iman ko kis par chhoDen
hum to kabe hi mein ai dushman-e-din achchhe hain
Muztar Khairabadi
tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul
main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe
Muztar Khairabadi