mere dal ne jhaTke uThae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kya bataun ye chhati pe lahrane walon se puchho
Muztar Khairabadi
mera rona hansi-ThaTTha nahin hai
zara roke raho apni hansi tum
Muztar Khairabadi
meri hasti se to achchhi hain hawaen yarab
ki jo aazad phira karti hain maidanon mein
Muztar Khairabadi
meri arman bhari aankh ki tasir hai ye
jis ko main pyar se dekhunga wahi tu hoga
Muztar Khairabadi
mere ghubar ki ye talli to dekhiye
itna baDha ki arsh-e-mualla se mil gaya
Muztar Khairabadi
masiha ja raha hai dauD kar aawaz do 'muztar'
ki dil ko dekhta ja jis mein chhaale paDte jate hain
Muztar Khairabadi
main nahin hun naghma-e-jaan-faza mujhe sun ke koi karega kya
main baDe birog ki hun sada main baDe dukhi ki pukar hun
Muztar Khairabadi
main teri rah-e-talab mein ba-tamanna-e-visal
mahw aisa hun ki miTne ka bhi kuchh dhyan nahin
Muztar Khairabadi
mere un ke talluq par koi ab kuchh nahin kahta
KHuda ka shukr sab ke munh mein tale paDte jate hain
Muztar Khairabadi