mat ponchh abru-e-araq-alud hath se
lazim hai ehtiyat ki hai aab-dar tegh
Meer Hasan
mein hashr ko kya roun ki uTh jaane se tere
barpa hui ek mujh pe qayamat to yahin au
Meer Hasan
mere aaina-e-dil ka use manzur tha lena
jo ghairon mein kaha bhonDa bura bad-rang nakara
Meer Hasan
mizhgan se us ke kyunkar dil chhuT sake hamara
ghere hue hain is ko we KHar sab taraf se
Meer Hasan
mohabbat ka rasta ajab garm tha
qadam jab dhara KHak par jal gaya
Meer Hasan
mu se saped ne namak is mein mila diya
kaifiyyat ab rahi nahin jam-e-sharab mein
Meer Hasan
na gharaz mujh ko hai kafir se na din-dar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kakul-e-KHamdar se kaam
Meer Hasan
na leT is tarah munh par zulf ko bikhra ke ai zalim
zara uTh baiTh tu is dam ki donon waqt milte hain
Meer Hasan
naKHun na pahuncha aabla-e-dil talak 'hasan'
hum mar gae ye hum se na aaKHir girah gai
Meer Hasan