KHuda jaane palak se kyunki lagti hai palak hamdam
kabhi aaankhon se hum ne to na dekha apne sone ko
Meer Hasan
KHwah kaba ho ki but-KHana gharaz hum se sun
jis taraf dil ki tabiat ho udhar ko chaliye
Meer Hasan
kis waqt mein basa tha ilahi ye mulk-e-dil
sadme hi paDte rahte hain nit is dayar pa
Meer Hasan
kucha-e-yar hai aur dair hai aur kaba hai
dekhiye ishq hamein aah kidhar lawega
Meer Hasan
kya jaaniye ki baham kyun hum mein aur us mein
mauquf ho gaya hai ab wo tapak hona
Meer Hasan
kya shikwa karen kunj-e-qafas ka dil-e-muztar
hum ne to chaman mein bhi Tuk aaram na paya
Meer Hasan
kya tha ki aaj naqa be-sarban paya
majnun ke hath hum ne us ki mahaar dekhi
Meer Hasan
kyun giraftari ke bais muztarib sayyaad hun
lagte lagte ji qafas mein bhi mera lag jaega
Meer Hasan
kyun in dinon 'hasan' tu itna jhaTak gaya hai
zalim kahin tera dil kya phir aTak gaya hai
Meer Hasan