kucha-e-yar hai aur dair hai aur kaba hai
dekhiye ishq hamein aah kidhar lawega
Meer Hasan
kya jaaniye ki baham kyun hum mein aur us mein
mauquf ho gaya hai ab wo tapak hona
Meer Hasan
kya shikwa karen kunj-e-qafas ka dil-e-muztar
hum ne to chaman mein bhi Tuk aaram na paya
Meer Hasan
lagaya mohabbat ka jab yan shajar
shajar lag gaya aur samar jal gaya
Meer Hasan
main bhi ek mani-e-pechida ajab tha ki 'hasan'
guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak
Meer Hasan
manind-e-aks dekha use aur na mil sake
kis ru se phir kahenge ki roz-e-visal tha
Meer Hasan
naKHun na pahuncha aabla-e-dil talak 'hasan'
hum mar gae ye hum se na aaKHir girah gai
Meer Hasan
kyun in dinon 'hasan' tu itna jhaTak gaya hai
zalim kahin tera dil kya phir aTak gaya hai
Meer Hasan
kyun giraftari ke bais muztarib sayyaad hun
lagte lagte ji qafas mein bhi mera lag jaega
Meer Hasan