wasl hota hai jin ko duniya mein
yarab aise bhi log hote hain
Meer Hasan
wasl ki shab ka maza hota hai awwal jaise
waise hi hota hai ahwal batar aaKHir-e-sha
Meer Hasan
wasl mein bhi na gai chheD yahi kahta rah
ki tujhe aisa bhula dun ki bahut yaad kare
Meer Hasan
wo tab-o-tawan kahan hai yarab
jo is dil-e-na-tawan mein tab tha
Meer Hasan
wo tira-baKHt hun ki 'hasan' meri bazm mein
dagh-e-siyah charagh hai aur dud aah-e-shama
Meer Hasan
ye dil kuchh aaphi ho jata hai band aur aaphi khulta hai
na main qaid is ko karta hun na main aazad karta hun
Meer Hasan
zat gar pochhiye aadam ki to hai ek wahi
lakh yun kahne ko Thahraiye zaten dil mein
Meer Hasan
zulm kab tak kijiyega is dil-e-nashad par
ab to is bande pe Tuk kije karam banda-nawaz
Meer Hasan