us shoKH ke jaane se ajab haal hai mera
jaise koi bhule hue phirta hai kuchh apna
Meer Hasan
tu raha dil mein dil raha tujh mein
tis pe tera milap ho na saka
Meer Hasan
tu KHafa mujh se ho to ho lekin
main to tujh se KHafa nahin hota
Meer Hasan
Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak
kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak
Meer Hasan
tha ru-e-zamin tang zi-bas hum ne nikali
rahne ke liye sher ke aalam mein zamin au
Meer Hasan
nazar aane se rah gaya az-bas
chha gaya intizar aankhon mein
Meer Hasan
naujawani ki did kar lije
apne mausam ki id kar lije
Meer Hasan
nau-giraftari ke bais muztarib sayyaad hun
lagte lagte ji qafas mein bhi mera lag jaega
Meer Hasan
qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum
phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak
Meer Hasan