mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
mai-kada jal raha hai tere baghair
dil mein chhaale hain aabgine ke
Lala Madhav Ram Jauhar
main ne minnat kabhi ki ho to bata den zahid
kaun se roz sifarish ko gunahgar aaya
Lala Madhav Ram Jauhar
main dair o haram ho ke tere kuche mein pahuncha
do manzilon ka pher bas ai yar paDa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
kya karen hum jo nahin hum se mohabbat tujh ko
kis tarah zor hamara tere dil par ho jae
Lala Madhav Ram Jauhar
kya bataun kis tarah dil aa gaya
kya kahun kaise mohabbat ho gai
Lala Madhav Ram Jauhar
kya buri hai meri taqdir ilahi tauba
sulh ka nam jo lun aur laDai ho jae
Lala Madhav Ram Jauhar
one pe agar aaun to dariya ko Dubo dun
qatra koi samjhe na mere dida-e-nam ko
Lala Madhav Ram Jauhar
kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha
kuchh bhi na tha hawa thi kahani thi KHwab tha
Lala Madhav Ram Jauhar