is taraf dair udhar kaba kidhar ko jaun
is do-rahe mein kahan yar raha karta hai
Lala Madhav Ram Jauhar
istiKHare ke liye bagh mein hum rindon ne
bar-ha dana-e-angur ki ki hai tasbih
Lala Madhav Ram Jauhar
jab kabhi main ne ye puchha ki KHata kis ki hai
be-dhaDak bol uThe tere siwa kis ki hai
Lala Madhav Ram Jauhar
jab kahte hain hum karte ho kyun wada-KHilafi
farmate hain hans kar ye nai baat nahin hai
Lala Madhav Ram Jauhar
janab-e-shaiKH ko sujhe na phir haram o halal
abhi piyen jo mile muft ki sharab kahin
Lala Madhav Ram Jauhar
'jauhar' tumhein nafrat hai bahut baada-kashi se
barsat mein dekhenge hum inkar tumhaara
Lala Madhav Ram Jauhar
jin ko hai abhi nam se bandi ke tanaffur
allah ne chaha to wahi pyar karenge
Lala Madhav Ram Jauhar
jis qadar chahiye biThlaiye pahre dar par
band rahne ke nahin KHwab mein aane wale
Lala Madhav Ram Jauhar
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar

