wo chaar aankhen kabhi karte nahin didar ke Dar se
mujhe jab dekhte hain munh chhupa lete hain chadar se
Lala Madhav Ram Jauhar
wo hai baDa karim rahim us ki zat hai
nahaq gunahgaron ko fikr-e-najat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain
kahin chaDh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
zulfen munh par hain munh hai zulfon mein
raat bhar subh sham din bhar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha
Lala Madhav Ram Jauhar
zara rahne do apne dar pe hum KHana-ba-doshon ko
musafir jis jagah aaram pate hain Thaharte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
yun to munh dekhne ki hoti hai mohabbat sab ko
jab main jaanun ki mere baad mera dhyan rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
yun mohabbat se jo chahe koi apna kar le
jo hamara na ho us ke kahin hum hote hain
Lala Madhav Ram Jauhar
ye sab ghalat hai ki hoti hai dil ko dil se rah
kisi ko KHak kisi ka KHayal hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar