اردو हिंदी
Kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha | Shaahi Shayari
kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha

Ghazal

Kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha

Lala Madhav Ram Jauhar

;

kya yaad kar ke roun ki kaisa shabab tha
kuchh bhi na tha hawa thi kahani thi KHwab tha

ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahan
wo din hawa hue jo pasina gulab tha

mahmil-nashin jab aap the laila ke bhes mein
majnun ke bhes mein koi KHana-KHarab tha

tera qusur-war KHuda ka gunahgar
jo kuchh ki tha yahi dil-e-KHana-KHarab tha

zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha