sar phoD ke mar jaenge badnam karenge
jis kaam se Darte ho wahi kaam karenge
Lala Madhav Ram Jauhar
sauda-e-zulf-e-yar mein hai talKH zindagi
ye zahr hum ne mol liya sanp pal ke
Lala Madhav Ram Jauhar
sayyaad o baghban mein bahut hoti hai salah
aisa na ho kahin gul o bulbul mein jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar
shararat dil mein us but ke bhari hai
isi patthar mein hain lakhon sharar band
Lala Madhav Ram Jauhar
sine se lipTo ya gala kaTo
hum tumhaare hain dil tumhaara hai
Lala Madhav Ram Jauhar
suKHan-e-saKHt se dil pahle hi tum toD chuke
ab agar baat banao bhi to kya hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Thahri jo wasl ki to hui subh sham se
but mehrban hue to KHuda mehrban na tha
Lala Madhav Ram Jauhar
tashrif lao kucha-e-rindan mein waizo
sidhi si rah tum ko bata den najat ki
Lala Madhav Ram Jauhar
tera qusur-war KHuda ka gunahgar
jo kuchh ki tha yahi dil-e-KHana-KHarab tha
Lala Madhav Ram Jauhar