kai bar un se pasija hai patthar
ye nale mere aazmae hue hain
Lala Madhav Ram Jauhar
kabhi khulta hi nahin saf kuchh iqrar inkar
hote hain un ki har ek baat mein pahlu donon
Lala Madhav Ram Jauhar
kaha kya jaane kya paigham-bar se
bahut KHush aaj aata hai udhar se
Lala Madhav Ram Jauhar
kaise be-rahm hain sayyaad ilahi tauba
mausam-e-gul mein mujhe kaT ke par rakhte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
kaise bhule hue hain gabr o musalman donon
dair mein but hai na kabe mein KHuda rakkha hai
Lala Madhav Ram Jauhar
kar sake dil ki wakalat na teri bazm mein log
is kachehri mein to muKHtar bhi majbur rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
kaTte kisi tarah se nahin hae kya karun
din ho gae pahaD mujhe intizar ke
Lala Madhav Ram Jauhar
kaun hote hain wo mahfil se uThane wale
yun to jate bhi magar ab nahin jaane wale
Lala Madhav Ram Jauhar
kaun si shab mujh ko hogi lailatul-qadr ai KHuda
dekhiye tashrif wo kis din mere ghar laenge
Lala Madhav Ram Jauhar