sabhi inam nit pate hain ai shirin-dahan tujh se
kabhu tu ek bose se hamara munh bhi miTha ka
Jurat Qalandar Bakhsh
sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye
patthar ki si lakir hai ye koh-kan ki baat
Jurat Qalandar Bakhsh
shagird-e-rashid aap sa hun shaiKH-ji sahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitan mein chhoDa
Jurat Qalandar Bakhsh
shayad usi ka zikr ho yaro main is liye
sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat
Jurat Qalandar Bakhsh
shab KHwab mein jo us ke dahan se dahan laga
khulte hi aankh kanpne sara badan laga
Jurat Qalandar Bakhsh
shaiKH-ji hum to hain nadan par use aane do
hum bhi puchhenge hui aap ki danai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
sikhiye 'jurat' kisi se koi bazi koi khel
is bahane se koi wan hum ko le to jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
sun wasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare
mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile pa
Jurat Qalandar Bakhsh
ta-falak le gai betabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahla hai ye zina apna
Jurat Qalandar Bakhsh