ta-subh meri aah-e-jahan-soz se kal raat 
kya gumbad-e-aflak ye hammam sa tha garm
Jurat Qalandar Bakhsh
taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab 
reKHta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha
Jurat Qalandar Bakhsh
Thahri thi ghiza apni jo gham ishq-e-butan mein 
so aah hamari hamein KHurak ne khaya
Jurat Qalandar Bakhsh
the bayaban-e-mohabbat mein jo giryan aah hum 
manzil-e-maqsud ko pahunche tari ki rah hum
Jurat Qalandar Bakhsh
tujh sa jo koi tujh ko mil jaega to baaten 
meri tarah se tu bhi chupka suna karega
Jurat Qalandar Bakhsh
us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula 
darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra
Jurat Qalandar Bakhsh
us shaKHs ne kal haton hi haton mein falak par 
sau bar chaDhaya mujhe sau bar utara
Jurat Qalandar Bakhsh
us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi 
andhe ko andhere mein baDi dur ki sujhi
Jurat Qalandar Bakhsh
wan se aaya hai jawab-e-KHat koi suniyo to zara 
main nahin hun aap main mujh se na samjha jaega
Jurat Qalandar Bakhsh

