main raha umr bhar juda KHud se
yaad main KHud ko umr bhar aaya
Jaun Eliya
main sahun karb-e-zindagi kab tak
rahe aaKHir teri kami kab tak
Jaun Eliya
marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zaKHm bhar gaya hoga
Jaun Eliya
meri banhon mein bahakne ki saza bhi sun le
ab bahut der mein aazad karunga tujh ko
Jaun Eliya
meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mere bayan mein kya
Jaun Eliya
mil kar tapak se na hamein kijiye udas
KHatir na kijiye kabhi hum bhi yahan ke the
Jaun Eliya
mil rahi ho baDe tapak ke sath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
Jaun Eliya
meri sharab ka shohra hai ab zamane mein
so ye karam hai to kis ka hai ab bhi aa jao
Jaun Eliya
mujh ko aadat hai ruTh jaane ki
aap mujh ko mana liya kije
Jaun Eliya