aae the hanste khelte mai-KHane mein 'firaq'
jab pi chuke sharab to sanjida ho gae
we came to the tavern all gay and frolicsome
now having drunk the wine, somber have become
Firaq Gorakhpuri
aankhon mein jo baat ho gai hai
ek sharh-e-hayat ho gai hai
Firaq Gorakhpuri
aane wali naslen tum par faKHr karengi ham-asro
jab bhi un ko dhyan aaega tum ne 'firaq' ko dekha hai
Firaq Gorakhpuri
ab to un ki yaad bhi aati nahin
kitni tanha ho gain tanhaiyan
nowadays even her thoughts do not intrude
see how forlorn and lonely is my solitude
Firaq Gorakhpuri
ab yaad-e-raftagan ki bhi himmat nahin rahi
yaron ne kitni dur basai hain bastiyan
Firaq Gorakhpuri
ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya bana diya
meri har ek sans munajat ho gai
Firaq Gorakhpuri
asar bhi le raha hun teri chup ka
tujhe qail bhi karta ja raha hun
Firaq Gorakhpuri
ad-guman ho ke mil ai dost jo milna hai tujhe
ye jhijhakte hue milna koi milna bhi nahin
Firaq Gorakhpuri
ahsen chhiDi hui hain hayat o mamat ki
sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki
Firaq Gorakhpuri