sunte hain ishq nam ke guzre hain ek buzurg
hum log bhi faqir isi silsile ke hain
Firaq Gorakhpuri
shamen kisi ko mangti hain aaj bhi 'firaq'
go zindagi mein yun mujhe koi kami nahin
Firaq Gorakhpuri
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
Firaq Gorakhpuri
chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin
nigah-e-nargis-e-rana tera jawab nahin
Firaq Gorakhpuri
hazar bar zamana idhar se guzra hai
nai nai si hai kuchh teri rahguzar phir bhi
Firaq Gorakhpuri
hum se kya ho saka mohabbat mein
KHair tum ne to bewafai ki
Firaq Gorakhpuri
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
Firaq Gorakhpuri
'ghaalib' o 'mir' 'mushafi'
hum bhi 'firaq' kam nahin
Firaq Gorakhpuri
'firaq' dauD gai ruh si zamane mein
kahan ka dard bhara tha mere fasane mein
Firaq Gorakhpuri