main muddaton jiya hun kisi dost ke baghair
ab tum bhi sath chhoDne ko kah rahe ho KHai
Firaq Gorakhpuri
main hun dil hai tanhai hai
tum bhi hote achchha hota
my loneliness my heart and me
would be nice
Firaq Gorakhpuri
main der tak tujhe KHud hi na rokta lekin
tu jis ada se uTha hai usi ka rona hai
Firaq Gorakhpuri
mail-e-bedad wo kab tha 'firaq'
tu ne us ko ghaur se dekha nahin
Firaq Gorakhpuri
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
Firaq Gorakhpuri
lai na aison-waison ko KHatir mein aaj tak
unchi hai kis qadar teri nichi nigah bhi
Firaq Gorakhpuri
kya jaaniye maut pahle kya thi
ab meri hayat ho gai hai
Firaq Gorakhpuri
kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nur sa
kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaz ki baaten karo
Firaq Gorakhpuri
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
Firaq Gorakhpuri