kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein
junun ka nam uchhalta raha zamane mein
Firaq Gorakhpuri
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka
Firaq Gorakhpuri
kahan ka wasl tanhai ne shayad bhes badla hai
tere dam bhar ke mil jaane ko hum bhi kya samajhte hain
Firaq Gorakhpuri
aae the hanste khelte mai-KHane mein 'firaq'
jab pi chuke sharab to sanjida ho gae
we came to the tavern all gay and frolicsome
now having drunk the wine, somber have become
Firaq Gorakhpuri
jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun
Firaq Gorakhpuri
jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon
wo gutthi aaj tak suljha raha hun
Firaq Gorakhpuri
jis mein ho yaad bhi teri shamil
hae us be-KHudi ko kya kahiye
Firaq Gorakhpuri
jahan mein thi bas ek afwah tere jalwon ki
charagh-e-dair-o-haram jhilmilae hain kya kya
Firaq Gorakhpuri
isi khanDar mein kahin kuchh diye hain TuTe hue
inhin se kaam chalao baDi udas hai raat
Firaq Gorakhpuri