faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin
pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai
Firaq Gorakhpuri
ek rangini-e-zahir hai gulistan mein agar
ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon mein
Firaq Gorakhpuri
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
Firaq Gorakhpuri
dil-dukhe roe hain shayad is jagah ai ku-e-dost
KHak ka itna chamak jaana zara dushwar tha
Firaq Gorakhpuri
dewtaon ka KHuda se hoga kaam
aadmi ko aadmi darkar hai
Firaq Gorakhpuri
dekh raftar-e-inqalab 'firaq'
kitni aahista aur kitni tez
Firaq Gorakhpuri
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat
Firaq Gorakhpuri
ahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
Firaq Gorakhpuri
ahut hasin hai doshizgi-e-husn magar
ab aa gae ho to aao tumhein KHarab karen
Firaq Gorakhpuri