ek aalam ko dekhta hun main
ye tera dhyan hai mujassam kya
Fani Badayuni
duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha
har aankh barq-pash thi har zarra tur tha
Fani Badayuni
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
Fani Badayuni
dil-e-marhum ko KHuda baKHshe
ek hi gham-gusar tha na raha
Fani Badayuni
dil-e-abaad ka 'fani' koi mafhum nahin
han magar jis mein koi hasrat-e-barbaad rahe
Fani Badayuni
dil sarapa dard tha wo ibtida-e-ishq thi
intiha ye hai ki 'fani' dard ab dil ho gaya
Fani Badayuni
dil ka ujaDna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
Fani Badayuni
dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho
jaanta kaun hai parai choT
Fani Badayuni
har musibat ka diya ek tabassum se jawab
is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne
Fani Badayuni