dair mein ya haram mein guzregi
umr tere hi gham mein guzregi
Fani Badayuni
aankh uThai hi thi ki khai choT
bach gai aankh dil pe aai choT
Fani Badayuni
har ke saqi jam-e-mai ek aur la aur jald la
un nashili ankhDiyon mein phir hijab aane ko hai
Fani Badayuni
ahla na dil na tirgi-e-sham-e-gham gai
ye jaanta to aag lagata na ghar ko main
Fani Badayuni
apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
kucha-e-yar mein chal dekh le jannat meri
Fani Badayuni
apni hi nigahon ka ye nazzara kahan tak
is marhala-e-sai-e-tamasha se guzar ja
Fani Badayuni
ai be-KHudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko KHayal-e-yar kahin DhunDta na ho
Fani Badayuni
ab nae sur se chheD parda-e-saz
main hi tha ek dukh-bhari aawaz
Fani Badayuni
aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata
Fani Badayuni