tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum
aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka
Fani Badayuni
tark-e-ummid bas ki baat nahin
warna ummid kab bar aai hai
Fani Badayuni
sur-o-mansur-o-tur are tauba
ek hai teri baat ka andaz
Fani Badayuni
sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao
Fani Badayuni
sune jate na the tum se mere din raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao
Fani Badayuni
shikwa-e-hijr pe sar kaT ke farmate hain
phir karoge kabhi is munh se shikayat meri
Fani Badayuni
dair mein ya haram mein guzregi
umr tere hi gham mein guzregi
Fani Badayuni
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
Fani Badayuni
fani dawa-e-dard-e-jigar zahr to nahin
kyun hath kanpta hai mere chaarasaz ka
Fani Badayuni