mujhe bula ke yahan aap chhup gaya koi
wo mehman hun jise mezban nahin milta
Fani Badayuni
mujh tak us mahfil mein phir jam-e-sharab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabab aane ko hai
Fani Badayuni
meri hawas ko aish-e-do-alam bhi tha qubul
tera karam ki tu ne diya dil dukha hua
Fani Badayuni
mere junun ko zulf ke sae se dur rakh
raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae
Fani Badayuni
maut ka intizar baqi hai
aap ka intizar tha na raha
Fani Badayuni
maut aane tak na aae ab jo aae ho to hae
zindagi mushkil hi thi marna bhi mushkil ho gaya
Fani Badayuni
maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'
girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai
Fani Badayuni
mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat
magar itna hai ki zanjir badal jati hai
Fani Badayuni
main ne 'fani' Dubti dekhi hai nabz-e-kaenat
jab mizaj-e-yar kuchh barham nazar aaya mujhe
Fani Badayuni