andheron ko nikala ja raha hai
magar ghar se ujala ja raha hai
Fana Nizami Kanpuri
ek tujh ko dekhne ke liye bazm mein mujhe
auron ki samt maslahatan dekhna paDa
Fana Nizami Kanpuri
is tarah rahbar ne luTa karwan
ai 'fana' rahzan ko bhi sadma hua
Fana Nizami Kanpuri
jab safina mauj se Takra gaya
naKHuda ko bhi KHuda yaad aa gaya
Fana Nizami Kanpuri
jalwa ho to jalwa ho parda ho to parda ho
tauhin-e-tajalli hai chilman se na jhanka ka
Fana Nizami Kanpuri
koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai
ek diwane ka zanjir se rishta kya hai
Fana Nizami Kanpuri
koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
Fana Nizami Kanpuri
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
Fana Nizami Kanpuri