wada jhuTa kar liya chaliye tasalli ho gai
hai zara si baat KHush karna dil-e-nashad ka
Dagh Dehlvi
waiz baDa maza ho agar yun azab ho
dozaKH mein panw hath mein jam-e-sharab ho
Dagh Dehlvi
wafa karenge nibahenge baat manenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
Dagh Dehlvi
wo din gae ki 'dagh' thi har dam buton ki yaad
paDhte hain panch waqt ki ab to namaz hum
Dagh Dehlvi
wo jate hain aati hai qayamat ki sahar aaj
rota hai duaon se gale mil ke asar aaj
Dagh Dehlvi
wo jab chale to qayamat bapa thi chaaron taraf
Thahar gae to zamane ko inqalab na tha
Dagh Dehlvi
wo kahte hain kya zor uThaoge tum ai 'dagh'
tum se to mera naz uThaya nahin jata
Dagh Dehlvi
wo zamana bhi tumhein yaad hai tum kahte the
dost duniya mein nahin 'dagh' se behtar apna
Dagh Dehlvi
ye gustaKHi ye chheD achchhi nahin hai ai dil-e-nadan
abhi phir ruTh jaenge abhi to man ke baiThe hain
Dagh Dehlvi