na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta
Dagh Dehlvi
na samjha umr guzri us but-e-kafar ko samjhate
pighal kar mom ho jata agar patthar ko samjhate
Dagh Dehlvi
naseh ne mera haal jo mujh se bayan kiya
aansu Tapak paDe mere be-iKHtiyar aaj
Dagh Dehlvi
na-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
Dagh Dehlvi
nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate
Dagh Dehlvi
nigah nikli na dil ki chor zulf-e-ambarin nikli
idhar la hath muTThi khol ye chori yahin nikli
Dagh Dehlvi
phir gaya jab se koi aa ke hamare dar tak
ghar ke bahar hi paDe rahte hain ghar chhoD diya
Dagh Dehlvi
phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate
Dagh Dehlvi
phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa
qasid se kah do aur na jae zara si de
Dagh Dehlvi