tum ko chaha to KHata kya hai bata do mujh ko
dusra koi to apna sa dikha do mujh ko
Dagh Dehlvi
tumhaara dil mere dil ke barabar ho nahin sakta
wo shisha ho nahin sakta ye patthar ho nahin sakta
Dagh Dehlvi
tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha
na tha raqib to aaKHir wo nam kis ka tha
that new greeting in your note, from whom was it do say
if not my rival's signature, whose name was it then, pray?
Dagh Dehlvi
uD gai yun wafa zamane se
kabhi goya kisi mein thi hi nahin
Dagh Dehlvi
udhar sharm hail idhar KHauf mane
na wo dekhte hain na hum dekhte hain
Dagh Dehlvi
un ki farmaish nai din raat hai
aur thoDi si meri auqat hai
Dagh Dehlvi
urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'
hindostan mein dhum hamari zaban ki hai
Dagh Dehlvi
uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
She is loth to come to me and keeps me well away
The cause for this hostility,she does not care to say
Dagh Dehlvi
uzr un ki zaban se nikla
tir goya kaman se nikla
Dagh Dehlvi