na dekhe honge rind-e-la-ubaali tum ne 'beKHud' se
ki aise log ab aankhon se ojhal hote jate hain
Bekhud Dehlvi
mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand
donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand
Bekhud Dehlvi
munh pher kar wo kahte hain bas man jaiye
is sharm is lihaz ke qurban jaiye
Bekhud Dehlvi
munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
Bekhud Dehlvi
mohabbat aur majnun hum to sauda is ko kahte hain
fida laila pe tha aankhon ka andha is ko kahte hain
Bekhud Dehlvi
mila ke KHak mein sarmaya-e-dil-e-'beKHud'
wo puchhte hain batao ye mal kis ka tha
Bekhud Dehlvi
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
Bekhud Dehlvi
maut aa rahi hai wade pe ya aa rahe ho tum
kam ho raha hai dard dil-e-be-qarar ka
Bekhud Dehlvi
mahfil wahi makan wahi aadmi wahi
ya hum nae hain ya teri aadat badal gai
Bekhud Dehlvi