اردو हिंदी
Sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai | Shaahi Shayari
sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai

Ghazal

Sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai

Bekhud Dehlvi

;

sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai
raat aati hai ilahi ki azab aata hai

be-qarari dil-e-betab ki KHali to nahin
ya wo KHud aate hain ya KHat ka jawab aata hai

munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani akasr
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai

kis qayamat ki ye aamad hai KHuda KHair kare
fitna-e-hashr bhi ham-rah-e-rikab aata hai

rind-e-mashrab koi 'beKHud' sa na hoga wallah
pi ke masjid hi mein ye KHana-KHarab aata hai