ho liye jis ke ho liye 'beKHud'
yar apna to ye hisab raha
Bekhud Dehlvi
kuchh tarah rindon ne di kuchh mohtasib bhi dab gaya
chheD aapas mein sar-e-bazar ho kar rah gai
Bekhud Dehlvi
koi is tarah se milne ka maza milta hai
upri dil se wo milta hai to kya milta hai
Bekhud Dehlvi
jhuTa jo kaha main ne to sharma ke wo bole
allah bigaDe na bani baat kisi ki
Bekhud Dehlvi
jawab soch ke wo dil mein muskuraate hain
abhi zaban pe meri sawal bhi to na tha
Bekhud Dehlvi
jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
Bekhud Dehlvi
is jabin-e-araq-afshan pe na chuniye afshan
ye sitare kahin mil jaen na sayyaron mein
Bekhud Dehlvi
ijazat mangti hai duKHt-e-raz mahfil mein aane ki
maza ho shaiKH-sahib kah uThen be-iKHtiyar aae
Bekhud Dehlvi
huron se na hogi ye mudaraat kisi ki
yaad aaegi jannat mein mulaqat kisi ki
Bekhud Dehlvi