اردو हिंदी
Jo tamasha nazar aaya use dekha samjha | Shaahi Shayari
jo tamasha nazar aaya use dekha samjha

Ghazal

Jo tamasha nazar aaya use dekha samjha

Bekhud Dehlvi

;

jo tamasha nazar aaya use dekha samjha
jab samajh aa gai duniya ko tamasha samjha

us ki eajaz-numai ka tamashai hun
kahin jugnu bhi jo chamka yad-e-baiza samjha

main ye samjha hun ki samjhe na meri baat ko aap
sar hila kar jo kaha aap ne achchha samjha

asar-e-husn kahun ya kashish-e-ishq kahun
main tamashai tha wo mujh ko tamasha samjha

kya kahun mere samane ko samajh hai darkar
KHak samjha jo mujhe KHak ka putla samjha

ek wo hain jinhen duniya ki bahaaren hain nasib
ek main hun qafas-e-tang ko duniya samjha

mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha