kya kah diya ye aap ne chupke se kan mein
dil ka sambhaalna mujhe dushwar ho gaya
Bekhud Dehlvi
teri tegh ka lal kar dunga munh
jo ye khelne mujh se aaegi rang
Bekhud Dehlvi
tir-e-qatil ko kaleje se laga rakkha hai
hum to dushman ko bhi aaram diye jate hain
Bekhud Dehlvi
takiya haTta nahin pahlu se ye kya hai 'beKHud'
koi botal to nahin tum ne chhupa rakkhi hai
Bekhud Dehlvi
sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham
kah diya us ne ki phir hum kya karen
Bekhud Dehlvi
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
Bekhud Dehlvi
sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai
majnun ka koi dost fasana-nigar tha
Bekhud Dehlvi
saKHt-jaan hun mujhe ek war se kya hota hai
aisi choTen koi do-chaar to aane dije
Bekhud Dehlvi
ind-mashrab koi 'beKHud' sa na hoga wallah
pi ke masjid hi mein ye KHana-KHarab aata hai
Bekhud Dehlvi