wo intizar ki chaukhaT pe so gaya hoga
kisi se waqt to puchhen ki kya baja hoga
Bashir Badr
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHubsurat paDhai hui
Bashir Badr
wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai
bahut aziz hamein hai magar paraya hai
Bashir Badr
wo baDa rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho
Bashir Badr
utar bhi aao kabhi aasman ke zine se
tumhein KHuda ne hamare liye banaya hai
Bashir Badr
use pak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumar hai
koi phul lakh qarib ho kabhi main ne us ko chhua nahin
Bashir Badr
teri aarzu teri justuju mein bhaTak raha tha gali gali
meri dastan teri zulf hai jo bikhar bikhar ke sanwar gai
Bashir Badr
sunate hain mujhe KHwabon ki dastan aksar
kahaniyon ke pur-asrar lab tumhaari tarah
Bashir Badr
tahzib ke libas utar jaenge janab
dollar mein yun nachaegi ikkiswin sadi
Bashir Badr