اردو हिंदी
Agar talash karun koi mil hi jaega | Shaahi Shayari
agar talash karun koi mil hi jaega

Ghazal

Agar talash karun koi mil hi jaega

Bashir Badr

;

agar talash karun koi mil hi jaega
magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega

tumhein zarur koi chahaton se dekhega
magar wo aankhen hamari kahan se laega

na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
makan KHali hua hai to koi aaega

main apni rah mein diwar ban ke baiTha hun
agar wo aaya to kis raste se aaega

tumhaare sath ye mausam farishton jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataega