sare jahan se achchha hindostan hamara
hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
Allama Iqbal
sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe
ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun
Allama Iqbal
samundar se mile pyase ko shabnam
baKHili hai ye razzaqi nahin hai
Allama Iqbal
wo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junun
KHuda mujhe nafas-e-jabrail de to kahun
Allama Iqbal
ye hai KHulasa-e-ilm-e-qalandari ki hayat
KHadang-e-jasta hai lekin kaman se dur nahin
Allama Iqbal
yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-alam
jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren
Allama Iqbal
yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya
dimagh raushan o dil tera o nigah bebak
Allama Iqbal
wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang
isi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun
Allama Iqbal
use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar
mujhe malum kya wo raaz-dan tera hai ya mera
Allama Iqbal