اردو हिंदी
Agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera | Shaahi Shayari
agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

Ghazal

Agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

Allama Iqbal

;

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera
mujhe fikr-e-jahan kyun ho jahan tera hai ya mera

agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan KHali
KHata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera

use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar
mujhe malum kya wo raaz-dan tera hai ya mera

mohammad bhi tera jibril bhi quran bhi tera
magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera

isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan
zawal-e-adam-e-KHaki ziyan tera hai ya mera