اردو हिंदी
Hua na zor se uske koi gareban chaak | Shaahi Shayari
hua na zor se uske koi gareban chaak

Ghazal

Hua na zor se uske koi gareban chaak

Allama Iqbal

;

hua na zor se us ke koi gareban chaak
agarche maghribiyon ka junun bhi tha chaalak

mai-e-yaqin se zamir-e-hayat hai pur-soz
nasib-e-madrasa ya rab ye aab-e-atish-nak

uruj-e-adam-e-KHaki ke muntazir hain tamam
ye kahkashan ye sitare ye nil-gun aflak

yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya
dimagh raushan o dil tera o nigah bebak

tu be-basar ho to ye mana-e-nigah bhi hai
wagarna aag hai momin jahan KHas o KHashak

zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah
kise KHabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak

jahan tamam hai miras mard-e-momin ki
mere kalam pe hujjat hai nukta-e-laulak