اردو हिंदी
Tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin | Shaahi Shayari
tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin

Ghazal

Tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin

Allama Iqbal

;

tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin
wo jalwa-gah tere KHak-dan se dur nahin

wo margh-zar ki bim-e-KHizan nahin jis mein
ghamin na ho ki tere aashiyan se dur nahin

ye hai KHulasa-e-ilm-e-qalandari ki hayat
KHadang-e-jasta hai lekin kaman se dur nahin

faza teri mah o parwin se hai zara aage
qadam uTha ye maqam aasman se dur nahin

kahe na rah-numa se ki chhoD de mujh ko
ye baat rah-raw-e-nukta-dan se dur nahin