go hawa-e-gulsitan ne mere dil ki laj rakh li
wo naqab KHud uThate to kuchh aur baat hoti
Agha Hashr Kashmiri
agarche wo be-parda aae hue hain
chhupane ki chizen chhupae hue hain
Ahmad Husain Mail
aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya
kitne naqab chehra-e-asrar se uThe
Akbar Hyderabadi
mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein
chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha
Akbar Hyderabadi
zara parda haTa do samne se bijliyan chamken
mera dil jalwa-gah-e-tur ban jae to achchha ho
Ali Zaheer Lakhnavi
sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista
the veil slips from her visage at such a gentle pace
as though the sun emerges from a cloud's embrace
Ameer Minai
abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
Anwar Mirzapuri