lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
Aasi Ghazipuri
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
Ameeq Hanafi
mehndi lagane ka jo KHayal aaya aap ko
sukhe hue daraKHt hina ke hare hue
Haidar Ali Aatish
mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
hum gunahgaron ke kya KHun ka phika tha rang
mehndi kis waste hathon pe rachai pyare
Mirza Azfari
allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein
hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se
Riyaz Khairabadi
mehndi lagae baiThe hain kuchh is ada se wo
muTThi mein un ki de de koi dil nikal ke
Riyaz Khairabadi