اردو हिंदी
Bu-e-gul sungh kar bigaDte hain | Shaahi Shayari
bu-e-gul sungh kar bigaDte hain

Ghazal

Bu-e-gul sungh kar bigaDte hain

Lala Madhav Ram Jauhar

;

bu-e-gul sungh kar bigaDte hain
ye pari-ru hawa se laDte hain

kyun jawani ke pichhe paDte hain
bhagte ko nahin pakaDte hain

ek din wo zamin dekhenge
ai falak aaj ko akaDte hain

mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain

nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw paDte hain

jis ke hain us ke hain hum ai jauhar
yar ban kar kahin bigaDte hain