sau bar tera daman hathon mein mere aaya
jab aankh khuli dekha apna hi gareban tha
Asghar Gondvi
hamesha main ne gareban ko chaak chaak kiya
tamam umr rafugar rahe rafu karte
Tween kaabaa and the loved one's face is deep affinity
Corpses, toward's mecca for a cause are faced to be
Haidar Ali Aatish
aisa karunga ab ke gareban ko tar tar
jo phir kisi tarah se kisi se rafu na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab tak ki gareban mein yak tar rahega
tab tak meri gardan ke upar bar rahega
Shaikh Zahuruddin Hatim
kya baDa aib hai is jama-e-uryani mein
chaak karne ko kabhi is mein gareban na hua
Shaikh Zahuruddin Hatim