main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'
ki un ke shar se kya kya KHair ke pahlu nikalte hain
Anwar Masood
'arsh' kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
Arsh Malsiyani
maut hi insan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaegi
Arsh Malsiyani
mujhe dushman se apne ishq sa hai
main tanha aadmi ki dosti hun
Baqar Mehdi
muKHalifat se meri shaKHsiyat sanwarti hai
main dushmanon ka baDa ehtiram karta hun
Bashir Badr
tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe KHanjar uTha liya
Fana Nizami Kanpuri
aaj khula dushman ke pichhe dushman the
aur wo lashkar is lashkar ki oT mein tha
Ghulam Husain Sajid