arz-e-ahwal ko gila samjhe
kya kaha main ne aap kya samjhe
the mention of my condition was a complaint thought to be
what was it I said to you, you did not follow me
Dagh Dehlvi
saz-e-ulfat chhiD raha hai aansuon ke saz par
muskurae hum to un ko bad-gumani ho gai
Jigar Moradabadi
ad-gumani ko baDha kar tum ne ye kya kar diya
KHud bhi tanha ho gae mujh ko bhi tanha kar diya
Nazeer Banarasi
ek ghalat-fahmi ne dil ka aaina dhundla diya
ek ghalat-fahmi se barson ki shanasai gai
one misunderstanding fogged the mirror of the heart
one misunderstanding rent lifelong friends apart
Shahbaz Nadeem Ziai