bad-gumani ko baDha kar tum ne ye kya kar diya
KHud bhi tanha ho gae mujh ko bhi tanha kar diya
zinda rakhne ke liye rakkha hai achchha silsila
ek miTaya dusra arman paida kar diya
aap samjhane bhi aae qibla-o-kaba to kab
ishq ne jab be-niyaz-e-din-o-duniya kar diya
bandagan-e-daur-e-hazir ki KHudai dekhiye
jis jagah jis waqt chaha hashr barpa kar diya
kal ki kal hai kal jab aaega to samjha jaega
aaj to saqi ne dil ka bojh halka kar diya
mohtaram pi lijiye mausam ne mauqa de diya
dekhiye kali ghaTa ne uTh ke parda kar diya
wo ghar aae the 'nazir' aise mein kuchh kahna na tha
shukr ka mauqa tha pyare tu ne shikwa kar diya
Ghazal
Bad-gumani ko baDha kar tumne ye kya kar diya
Nazeer Banarasi