ai banda-parwar itna lazim hai kya takalluf
uThiye gharib-KHane chaliye bila-takalluf
Waliullah Muhib
ai dil tujhe karni hai agar ishq se baiat
zinhaar kabhu chhoDiyo mat silsila-e-dard
Waliullah Muhib
are o KHana-abaad itni KHun-rezi ye qattali
ki ek aashiq nahin kucha tera viran suna hai
Waliullah Muhib
ashk-bari se gham-o-dard ki kheti-baDi
lahlahi si nazar aati hai hari rahti hai
Waliullah Muhib
a-mani kufr se islam kab KHali hai ai zahid
nikal subhe se rishta surat-e-zunnar ho paida
Waliullah Muhib
a-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain
ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain
Waliullah Muhib
e-ishq jitni KHalq hai insan ki shakl mein
nazron mein ahl-e-did ke aadam ye sab nahin
Waliullah Muhib
charagh-e-kaba-o-dair ek sa hai chashm-e-haq-bin mein
'muhib' jhagDa hai kori ke sabab shaiKH o barhaman ka
Waliullah Muhib
dair mein kabe mein maiKHane mein aur masjid mein
jalwa-gar sab mein mera yar hai allah allah
Waliullah Muhib